Khushion se naraz hai meri jindgi.
Payar ki mohtaz hai meri jindgi.
Has leta hun logon ko dikhane ke liye.
Varna dard ki kitab hai meri jindgi
---------------------------------------------
Mangi thi dua ashiyane ki,
Chal padi andhiya zamane ki
mera gum koi na samejh saka
kyuki mujhe addat thi muskurane ki.

Mein unko kuch kah na paya yehi gam hai,
Aagaz hi na ho paya meri dastaa ka, Kya ye kam hai.
Dard ke daria par khada huin mein,
Aur tum kehte ho ki paani kam hai

ai dil bata ab main kya jawaab doon
duniya puchti hai ki main kyu udaas hoon

Sirf yaadon ka silsila reh gaya,
khuda jaane aapse hamara rishta kya reh gaya,
ek CHAND chup gaya jaane kahan,
ek SITARA use dhoondta reh gaya

Teri dosti,teri wafa hi kafi hai,
Tamam umr ye aasra hi kafi hai.
Jahan kahin bhi milo, milke muskura dena,
Khushiyon ke vaaste ye silsila hi kafi hai

Yeh mat sochna bhool jayenge tumhe,
Door rehkar bhi chahenge tumhe,
Agar dost banker raas na aaye,
To ajnabee banker bhi yaad aayenge tumhe
--------------------------------------------------
wafa ka naam na lo yaroo,
wafa ab dil ko dukhati hai
sach to yeh hai wafa ka naam lene se
phir ek bewafa ki yaad aa jati hai.
--------------------------------------------
Betab tamannao ki kasak rahne do,
manjil ko pane ki lalak rahne do,
aap bhale hi raho dur najro se,
par band palko me apni jhalak rahne Do

Sab se Chuppa Kar Dard, Jo Woh Muskura Diye
Un Ki Hansi Nay To Aaj Mujhe Rula hi Diya
Lahje Sey Uth Raha Tha Her ek Dard Ka Duhaan
Chehra Bataa Raha tha Kya Kuch Gavaa Diya
Awaz Mein Thehrav Tha Aankhoon maih Nammi thi
Aur Keh Raha the Ki Maine Sab Kuch Bhulla Diya
Janey Kya Usko Logon Se Thee Shikayateen
Tanhayoon Ke Des Main Jo Khud Ko Basa Diya
Khud Bhi Woh Hum se Bichar Kar Adhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya
-------------------------------------------------
na thi jisko mere pyar ki kadar,
ittfaque se usi ko chah rahe the hum,
usi diye ne jalaya hamare hath ko,
jisko hawa ke rukhse bacha rahe the hum.

Koi To Mere Khayalon Mein Chahne Wala Ho
Muhabbat Ke khazane Lutane Wala Ho
Us Ek Shaks ko Duniya Ki Her khushi De Dun
Jo Mere Dard ko Apna Banane Wala Ho
Mujhe Bhi Apni Wafaon Pe Naaz Hai Lekin
Yahan Koi To Wafa Aazmane Wala Ho
Jise Aziz Ho Duniya Idher Ka Rukh Kare
Yahan Wo Aaye Jo Duniya Lutane Wala Ho
khuda Gawah Hai Bari Mushkil Se Milta Hai
Wo Aik Dill Jo Muhabbat Nibhane Wala Ho
-----------------------------------------------
Teri meri guftagu ka daayra simat raha hai
Tere aangan mein ik naya paudha ug raha hai
Is puraani bel ka patta patta jala dena
Ke har patte par,mera naam dikh raha hai